Thursday, July 30, 2009

Yeh mere chehre ki hansi toh bas dikhaava hai

Yeh mere chehre ki hansi toh bas dikhaava hai॥
Dil mein palte dard ko chupaane ke liye॥
Aankhein band karli hai maut se pehle hi humne..
Kya bacha ab usse apne aansu dikhaane mein..
Sab kuch toh bhool chukke thei unse milke..
Bas ek bohat bada dil chaahye usse bhulaane ke liye..
Meri haalat dekh ke jo aaj hans pade vo..
Kabhi khud roya karte thei mujhe hasaane ke liye..
Hum pe bhi vo waqt aaya tha,Kisi ko aankhon mein basaaya tha,
Ussi ne lutt liya mera jahaan,Jisse iss dil ki dhadkan banaaya tha
Tanhaiyo me baith ke dil ko manate hain..
Apne zakhmo per khud marham lagate hain...
Mumkin nahi tha usse kabhi apna bana na..
Roz phir bhi ye khwab ham sajate hain..
karke gaye hain wada ham se phir-milne ka..
Bas intezar me unke ham waqt guzarte hain..
Maana k woh bewafa hain, magar phir bhi'Karke usse yaad dard-e-dil aur badate hain...
Thak-gayi uska rasta dekhte dekhte..
Koi-Bataye jo chala gaya,use kaise bhulate hain..
Baadal hain aankh ke jo baraste hi nahi hain
Mujhko choone ko haath unke larazte hi nahi hain
Mujhko gale laga lo,mujhko kahi chupa lo
Roz farishte aasman se utarte hi nahi hain
Unko maloom hai ke hans kar main gum ko chupati hu
Yu dikhate hai jaise mujhko samajhte hi nahi hain
Jab bhi dua maangu,unki khushiya dua me maangu
Wo mere dil ko dukhane me jhijhakte hi nahi hain
Qayamat ke iss safar me kaha khud ko bhula baithe
Unki yaado ke saaye humse bichadte hi nahi hainye jo kwasho ka prnd he,
ise mosmo se ghrz nhe,ye ure ga apne he moj me,i
se ab de ya srab de,kbhe yun bhe ho tere rubro mein aa ke ye keh skon,
mere hasrton ko shmar ker mere khahisho ka hisab de

No comments:

Post a Comment