Monday, August 10, 2009

mujhko bhi tarkeeb sikha kuchh

mujhko bhi tarkeeb sikha kuchh yaar julahe aksar tujhko dekha hai ke tana bunte bunte jab koi taga toot gaya ya khatam hua to phir se usme bandh sira koi jor aage bunane lagte ho tere is tane mein lekin,ik bhi ganth girh buntar ki dekh nahi sakta hai koi maine..to buna tha ik bar ek hi rishta lekin uski saari girhain...saaf nazar aatee hain